Talk to me
Kehde wo dil ki baatein
Jo tu zamane se to keh na saki
Sunu baith ke ab mein teri
Talk to me
Bata dard-e-dil ke sabab
Ye parde hata de tu ab
Dha de ek aur gazab
Dil mein tufaan utha aur phir tham gaya
Seena cheerta hai seene mein jo dum gaya
Ek hi gali se nikle the mein aur wo
Uske ghar khushi gayi mere ghar gam gaya
Dho ke zehn mujhse soya nhi jaye
I would cry you were river lekin roya nahi jaye
Meine ird-gird ye deewarein khud hi banayi
Taake mujhe at my lowest koi dekh hi na paye
Ab mujhse bola nahi jaye
But you can’t take me down agar maula na chahe
Main 16 se high na koi sulah safayi
Duniya to jalti hai duniya ka kya hai
Zindagi sabak bani roz tu kuch seekhti hai
Tu uska guroor jisne tujhe takleef di hai
Mein seekhta hun galtiyon se bhaagta nhi
Mein so gaya hun tujh me ab mein jaagta nhi
Ab tera mera pehle jaisa raabta nahi
Wo raakh ban gaya ke jo ke aag tha kabhi
Bayabaan ban gaya jo baagh tha kabhi
Besaakhta khadhe hain jaise jaan se bhi gaye
Tu roshni thi meri hum to chaand se bhi gaye
Hum kon hain hum kya hain hum jaante hi nahi
Ye faisle ek tarfa hum maante hi nahi
Jo dooriyan hain darmiyan wo faaslon se nahi
Talk to me, walk with me
Do kadam that’s all we need you’re safe with me
Main tere liye de dun jaan apni
Meri nazar se hi keemat ko tu kabhi pehchaan apni and just
Talk to me
Kehde wo dil ki batein
Jo tu zamane se tou keh na saki
Sunu baith ke ab mein teri
Talk to me
Bata dard-e-dil ke sabab
Ye parde hata de tu ab
Dha de ek aur gazab
Badalon pe likh denge hum naam tera
Nahi jaam pe la apne kaam se ye naam phela
Aashiqui ek veham liya ghoont to nuksaan tera
Nadaniyon mein bhooli thi wo naam mera
Log galti ko sharab kehte hain
Haqeeqat ko khwab kehte hain
Dino ko bhi raat kehte hain
Mere zikar ko bhi ab wo gunah kehte hain
Roothe nahi tum badal hi gaye
Toote kahin aur sanwar bhi gaye
Sambhle nahi tum bikharte rahe
Zakhmon ka kya wo to bharte rahe
Aaja kabhi baat to kar
Haste ab kyun hum in faaslon par
Aana kabhi sath to chal
Kon galat kon sahi aa hisaab to kar
Beshak galti se hi kabhi yaad to kar
Mera glass to bhar thoda barbaad to kar
Log mere peeche pade hath dho kar
Mere hunar ka lihaaz to kar
Tell me what you want from me
Aakhir kuch bata to sahi
She don’t wanna talk to me
Ye sab tera shoq to nahi
Sazaayein phir ye baant lete
Khamiyan to khoobiyon se janch lete
Kaise todey na deewaarein ye
Tera hi khayal jab bhi saans lete so just
Talk to me
Kehde wo dil ki batein
Jo tu zamane se to keh na saki
Sunu baith ke ab mein teri
Talk to me
Bata dard-e-dil ke sabab
Ye parde hata de tu ab
Dha de ek aur gazab