Aadhi Shakti Lyrics Wicked Sunny

Kaanp uthegi dhartitandav

Hoga aasman mein

Ghaav na bharenge kyunki rakht

Bahega aatma se

Yeh shankh naad hoga aise

Khauf ka

Inn hathon se shringar hoga aaj

Teri maut ka
Rannbhoomi mein rath leke

Jaise ho nandan aaj chale

Sirhane pe lankesh ke baitha

Saath mein jaise kaal chale

Saamne joh aaya uske mann

Mein paschyataap paley

Hum kishkindha ke raja

Vaanar sena leke aaj chale
Teer main jaise arjun ka

Gyaan rakhun main har gunn ka

Ni sa ga ma dhaa paa aur ga ma ga re sa

Main pakad mein naa aau teri main raag bhairavi

Si dhun ka

Yamraj ki chale sawaari main praan

Kheech loon har tann ka
Angad jaisa paer na uthega joh

Ek baari rakha

Pakda lankesh ko

Saalon tak woh jaari rakha

Koi na kar paaya paraajit ab tak mujh ko

Ek vaanar tha ki jo ki

Devtaon par bhi bhaari tha
Aaj yeh zameen

Rakht se main seench dunga

Kesh pakdun hathon se

Door tak ghaseet dunga

Peeth ke peechhe karte vaar

Aake kyunki

Main hoon bali aaya samne

Aadhi shakti kheench lunga
Dam dam dam baji garjana

Praan baksh doon karo archana

Dam dam dam dam baji garjana

Praan baksh doon karo archana
Samajh na mujhko manav sa

Khel mein poora danav sa

Jaise khuli ho aankh teesri
Samajh na mujhko manav sa

Khel mein poora danav sa

Jaise khuli ho aankh teesri

Khatam ho gayi manavta
Bhaari yeh prahar hai

Yeh poora narsanghaar hai

Ho poori sena saamne

Mera toh bas ek vaar hai

Aur koi na hai saamne

Jab tak galey mein haar hain

Dhokhe se maara jisne peechhe se

Woh parivaar hai
Teer lagenge chhaati mein itne ki ginti hogi nahi

Yuddh jeetna haq hain mera mujhse vinti hoti nahi

Aa jau apne pe avtaar main le loon kaali kaa

Mere baad angad yaad dilayega kaun bali tha
Aaj yeh zameen

Rakht se main seench dunga

Kesh pakdun hathon se

Door tak ghaseet dunga
Teri gardan hogi hathon mein

Aur gale se cheekh lunga

Kisi pe tu karna na bharosa

Yahi seekh doonga

Kya hua aaj bali zinda nahi agar

Teenon lokon mein jahan milega

Yeh shakti kheench lunga
Dam dam dam baji garjana

Praan baksh doon karo archana

Dam dam dam dam baji garjana

Praan baksh doon karo archana
Samajh na mujhko manav sa

Khel mein poora danav sa

Jaise khuli ho aankh teesri
Samajh na mujhko manav sa

Khel mein poora danav sa

Jaise khuli ho aankh teesri

Khatam ho gayi manavta

Leave a Comment