Gulabi Aankhen Jo Teri Dekhi Lyrics Mohammed Rafi

La la la la la la la la
Gulabi aankhen jo teri dekhi

Sharabi ye dil ho gaya

Sambhalo mujhko o mere yaaron

Sambhalna mushkil ho gaya
Dil mein mere khwaab tere

Tasveer jaise ho deewar pe

Tujhpe fida

Main kyun hua

Aata hai gussa mujhe pyaar pe

Main loot gaya

Maan ke dil ka kaha

Main kahin ka na raha

Kya kahun main dilruba

Bura ye jaadu teri aankhon ka

Ye mera kaatil ho gaya

Gulabi aankhen jo teri dekhi

Sharabi ye dil ho gaya
Maine sada

Chaha yahi

Daman bacha loon hasino se main

Teri qasam khwabon mein bhi

Bachta phira nazneenon se main

Touba magar mil gayi tujhse nazar

Mil gaya dard-e-jigar

Sun zara o bekhabar

Zara sa hans ke jo dekha tune

Main tera bismil ho gaya

Gulabi aankhen jo teri dekhi

Sharabi ye dil ho gaya

Sambhalo mujhko o mere yaaron

Sambhalna mushkil ho gaya

Leave a Comment