Pyaar Mera Lyrics Madhur Sharma

Tu mere liye kya hai kya bataaun
Kyun, kaise dil ko samjhaun

Tu khilte phoolon ki

Hai khushbu ke jaisa

Main hoon patjhad ki rut sa
Tu hai aasman mein

Chanda ki chandani jaisa

Main hoon koi tara toot’ta
Paye bina main khona na chaahun

Dil darta hai yaar mera

Jaanu na kaise tujhko bataaun

Ke tu hi hai pyaar mera
Mann sawalon se hi bhar gaya hai aisa

Nadiyon mein pani jis tarah

Bas khayalon se hi khush ho jaun

Ya tujhko kar doon bayaan
Nazdeek aau toh door leke jaye daayra

Tu sardi ke mausam ki khushbu ke jaisa

Main hoon tapti dhoop sa

Tu gehre samandar mein uthti lehron jaisa

Main kinare baitha ret sa
Paaye bina main khona na chaahun

Dil darta hai yaar mera

Jaanu na kaise tujhko bataun

Ke tu hi hai pyar mera

Leave a Comment