Main, mujh jaise, ho ek tum
Tum jaise saare hum
Apne lagte hain
Haath haathon mein sajte hain
Ghar bante hain judne se
Hote hain eenton ke, jo eentein hum hain
Jitni bhi ho, khushiyaan kam hain
Mohabbat sacchi ho to
Phir uss main jhoot nahi hai
Mohabbat saaf dilon se kar
Bano tum apne jaise
Nahi tum jaisa koi
Utha ke chal tu apna sar
Pyaar jeeta hoon, main pyaar jeeunga
Zinda dil hoon, jo zindagi jeeunga
Jeena sab ka aasaan karunga
Main, main, main
Kyunki main green hoon
Kyunki main green hoon
Pyaar jeeta hoon, main pyaar jeeunga
Zinda dil hoon, jo zindagi jeeunga
Jeena sab ka aasaan karunga
Main, main, main
Kyunki main green hoon
Kyunki main green hoon
Dil dard ka aata goondhe
Dil dard ka aata goondhe
Mile veham ka namak zaida
Yeh duniya hai kaala pathar
Yeh duniya hai kaala pathar
Tu samjhe chamak zyada
Jo zaat hai
Jo zaat hai, wajood main
Jo zaat hai, wajood main
Ussi ka to pata nahi
Aaine ke saamne bhi
Main mujhe mila nahi
Gam hote hain baahon main
Jazbon ki rahon main
Chalte jaaye jo manzilon se woh milte hain
Dil hotay hain nazuk se
Inhe rakho chahat se
Dhadkan dhadkan
Phir apno ke dil dhadakte hain
Hai dil aazaad ek panchhi
Udey apni marzi se
Mohabbat kar par qaid na kar
Hai upar ek khuda toh
Zameen pe sab hain barabar
Toh bas phir ek khuda se dar
Pyaar jeeta hoon, main pyaar jeeunga
Zinda dil hoon, jo zindagi jiyunga
Jeena sab ka aasaan karunga
Main, main, main
Kyun ke main green hoon
Kyun ke main green hoon
Kyun ke main green hoon
Kyun ke main green hoon
Kyun ke main green hoon
Green hoon