Chehre Lyrics Mc Square

Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hai aaj bhi

Paap ya paapi tha kaun main dhoondun bas saadgi

Tasveer koi khaas si

Aksar hi nazron ke saami bas dhundhli si yaad ki

Tha woh kaun shayad yeh yaad nahi

Bas yaad hai odhi thi usne bhi dhun koi saaz ki
Kabhi dikhte hai phone ki feed mein

Kabhi dikhte hai raahon mein bheed mein

Kabhi aankhon mein dikhte hain bas

Jab sunta hoon dhun koi jaani si peedh mein
Ab aksar milte nahi hai woh

Main unka jinke nahi hai wo,

Kabhi taire thhe khushi ki lehron mein saath

Main dooba ab tinke nahi hai woh

Chehra tha ek woh gaon ya shahar thha

Na hain maloom mujhe,

Ghadi mein tiki thhi nazre kya pahar

Thha na hain maloom mujhe,
Subah ke sapne thhe bag mein

Shaam ko bojh ke qaid mein

Maathe ki shikan shayad kehti thhi

Thehar ja na hain maloom mujhe
Ek ki 10 ki aayu, 20 me raavan woh chehra jatayu

30 mein pohuncha aur dekha phir aaina

Dikhe bas ret aur sehra ki vaayu
Phir aayi umar pachaas

Chehre pe likha hataash

Abhi bhi jaari talaash

Aankhon mein dikha bas kaash
Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hai aaj bhi

Paap ya paapi thha kaun main dhoondun bas saadgi

Tasveer koi khaas si

Aksar hee nazron ke saami bas dhundhli si yaad ki

Tha woh kaun shayad yeh yaad nahi

Bas yaad hain odhi thhi usne bhi dhun koi saaz ki
Yeh dekho aurat ka chehra

Koi gharelu koi jhujhaaru

Koi khush hain khet ki medhon pe

Koi kahe main samaj sudhaarun
Koi nudes se views mein phansa

Chaahe koi kureet ke kapde utaarun

Koi chain se marna chaahe

Koi kahe gadhe murde ukhaadun
Dekhe hain naadaani chehre

Dekhe hain manmaani chehre

Dekhe hain insaani chehre

Dekhe hain kayi gyaani chehre
Alfaazon ke chehre kuch seedhe kuch gehre

Takazon ke chehre kuch behte kuch thehre

Awaazon ke chehron pe siyaasi pehre

Riwaazon ke chehron pe samaaji behre
Dekha bhagwan ka chehra

Gita ka chehra, quran ka chehra

Aankhon pe patti hain chehron ki

Koi subah ka chehra, koi shaam ka chehra
Koi toh naam ka chehra

Kisi ka saathi, hain kisme magan

Kis se hain pyar, aur kis se jalan

Kya aisa hain kaam ka chehra?
Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hai aaj bhi

Paap ya paapi tha kaun main dhoondu bas saadgi

Tasveer koi khaas si,

Aksar hee nazron ke saami bas dhundhli si yaad ki

Tha woh kaun shayad yeh yaad nahi

Bas yaad hain odhi thhi usne bhi dhun koi saaz ki

Leave a Comment